Monday 3 September 2012

Guzry lamhon ki yaad main,


Guzry lamhon ki yaad main,
Aansu gir rahy hain kitab main,

Bicharna tha to phir dosti kaisi,
Girftar hain hum mohabbat k azab main,

Do aansu bahy jb tmhari yaad main,
Dil tarap utha tmhari yaad main,

Kitab kholi to parhna bhool gay,
Rakha us main gulab tmhari yaad main,

Din dhalty he judai ka aaghaz hua,
Yehi ibtada thi yehi hmara anjam hua,

Umeedon se tooty rabty hmary,
Aur dil yun he zmany main badnam hua...!!

No comments:

Post a Comment