Wednesday 29 August 2012

Hairaton k Silsiley.........


Hairaton ke silsilay soz e nihaan tak aa gaye
Hum nazar tak chahtay thay Aap jaan tak aa gaye.

Na-muraadi apni qismat gumraahi apna naseeb
Karwaan ki khair ho, Hum karwaan tak aa gaye.

Unki palkon per sitaaray Apnay hontton pe hansi
Qissaa e Gham kehtay kehtay hum kahan tak aa gaye.

Apni apni justujuu hai Apna apna shauq hai
Tum hansi tak na pohanchay, Hum faghaan tak aa gaye.

Zulf mein Khushbuu na thi yaa rang aariz mein na tha
Aap kis ki aarzuu mein gulistaan tak aa gaye.

Rafta rafta rang laaya jazbaa khamosh e ishq
Wo taghaful kartay kartay imtehaan tak aa gaye.

Khud tumhain chaak e girebaan ka sha`oor aa jaayega
Tum wahan tak to aao, Hum jahan tak aa gaye.

Aaj meh-kaday mein inqelaab aanay ko hai
Ehal e danish andeshai e sood o ziyaan tak aa gaye .. !!

Qabil Ajmairi ..

No comments:

Post a Comment