Wednesday 29 August 2012

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhty Hain....


sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuch din Thehr ke dekhte hain

sunaa hai rabt hai usko Kharaab haalon se
so apne aap ko barbaad karke dekhte hain

sunaa hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk uski
so hum bhi uski gali se guzar kar dekhte hain

sunaa hai usko bhi hai sheir-o-shaaiirii se sharf
soham bhi maujzay apne hunar ke dekhte hain

sunaa hai bole to baaton se phool jharte hain
ye baat hai to chal baat kar ke dekhte hain

sunaa hai raat use chaand taktaa rehtaa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte hain

sunaa hai hashr hain uski Ghazaal si aankhein
sunaa hai usko hiran dasht bhar ke dekhte hain

sunaa hai din ko use titliyaan sataati hain
sunaa hai raat ko jugnuu Thehr ke dekhte hain

sunaa hai uski siyaah chashmagi qayaamat hai
so usko surmaafarosh aankh bhar ke dekhte hain

sunaa hai uske labon se gulaab jalate hain
so hum pahaarh pe ilzaam dhar ke dekhte hain

sunaa hai aaiinaa tamasal hai jabeen uski
jo saadaa dil hain ban-savar ke dekhte hain

sunaa hai uske badan ke taraash aise hain
ke phool apni qabaaein katar ke dekhte hain

sunaa hai uski shabistaan se muttasil hai bahisht
makeen udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hain

ruke to gardish uska tavaaf karti hai
chale to usko zamaane Thehr ke dekhte hain

mubaalage hi sahi, sab kahaaniyaan hi sahii
agar wo Khuwab hai to tabeer kar ke dekhte hain

ab uske shehr mein Thehrein ke kuch kar jaen
"Faraz" aao sitaare safar ke dekhte hain ..!!! 


No comments:

Post a Comment